Wednesday, September 3, 2008

Bohaat Mudad kay baad

Bohaat Mudad kay baad

kal jaab kitab-e-mazi ko maine khola

Bohaat se charay nazar main utray

bohaat se namoo pe dil pasija

Ek asa safa bhi uss main aya

Likha hoya thaa jo ansooon se

Kay jis ka unwan humsafar thaa

Woh safha sub se moutbar thaa

Kuch or Ansoo phir uss pe tapkay

Usay agay main parh na paya

Kitab-e-mazi ko bund kar kay

Usi ki yadoon main khogaya main

Agar woh milta to kasa hota

Inhe khayalon main so gaya main


By Moshin Naqvi

No comments: